Abki baar jab mah-e-ramzan ka chand ubhray ga
Her taraf is mahainay ke khoshian bikhree hongee
Her ik chehra shadmaan hoga
Us waqt us ka kia banay ga
Wo kis ka chehra deikhay ga
Kis ko ja ker mubarak baad deiga!
Kis ko apni khoshian dekhai ga!
Kis ke samnay apni beqarai ka izhar karay ga!
Kis ko bahon mein thamay ga!
Kis ka matha choomay ga!
Aah
Abki baar jab mah-e-ramzaan ka chand ubhray ga
To wo ashkoon mein doob jayay ga!
Aur hum....
No comments:
Post a Comment