vo chaaNdanii kaa badan


vo chaaNdanii kaa badan Khushbuuon kaa saayaa hai
bahut aziz hamen hai magar paraayaa hai 

utar bhii aao kabhii aasamaaN ke ziine se
tumhen Khudaa ne hamaare liye banaayaa hai 

mahak rahii hai zamiin chaNdanii ke phuulon se
Khudaa kisii kii muhabbat pe muskuraayaa hai 

use kisii kii muhabbat kaa aitabaar nahiin
use zamaane ne shaayad bahut sataayaa hai 

tamaam umr meraa dam use dhueN se ghuTaa
vo ik charaaG thaa main ne use bujhaayaa hai 

No comments:

Post a Comment

Copyright © SmS MixturE